Saturday 26 January 2013

ajab pagal c larki hai....

Ajab pagal c larki haimujhay har khat main likhti hai
mujhay tum yaad kartay ho
tumhain main yadd ati hon
meri batain satati hain
meri nendain jagati hain'
meri ankhain rulati hain
december ki suhneri dhoop main..ab bhi tehaltay ho
kisi khamosh rastay say koi awaz ati hai..
thetarti sard ratoon main tum ab bhi chat pay jatay ho..
falak k sab sitaron ko meri batain sunatay ho..
kitabon say tumharay ishq main koi kami ayi
ya meri yad ki shiddat say ankhon main nami ayi..
ajab pagal c larki hai
mujhay har khat main likhti hai..
jawaban usay likhta hon..
meri masrofiat dekho..
subh say sham office main.. chiragay umr jalta hai
phir us k baad dunya ki.. kayi majborain pa'on main behdhian dal rakhti hain
mujhay bay fikr chahat say bharay sapnay nahin dikhtay
tehalnay,jagnay,ronay ki muholat he nahin milti
sitaron say milay ab arsa hwa..... naraz hon shayad...
kitabon say shagaf mera.. abhi wesay he qayam hay
farq itna parha hai ab unhain arsay main parhta hon
tumhain kis nay kaha pagli
tumhain main yaad karta hon.
k main khud ko bhulanay ki musalsal justujo main hon
tumhain na yaad anay ki musalsal justujo main hon
magar yah justujo meri buhat nakam rehti hai
meray din raat main ab b tumhari sham rehti hai
meray lafzon ki har mala tumharay naam rehti hai
tumhain kis nay kaha pagli tumhain main yaad karta hon
purani baat hai jo log aksar gungunatay hain..
unhain ham yaad kartay hain...jinhain ham bhul jatay hain
ajab pagal c larki hai
meri masrofiat dekho
tumhain dil say bhulao tau tumhari yaad aaye na
tumhain dil say bhulanay ki mujhay fursat nahin milti
aur is masroof jeevan main...
tumharay khat ka aik jumlaaaa...
tumhain main yaad ati hon
meri chahat ki shiddat main kami honay nahin deta
buhat ratain jagata hai..mujhay sonay nahin deta
so agli baar khat main yah jumla nahin likhna
ajab pagal c larki hai mujhay phir b yah likhti hai
mujhay tum yaad kartay ho
tumhain main yaad ati hon.

No comments:

Post a Comment