Kash Main Teray Haseen Hath Ka Kangan Hota
Tu Baray Pyaar Say, Chao Say , Baray Maan Kay Sath
Apni Nazuk Se Kalaee Main Charhate Mujh Ko
Or Bay Tabi Say Fursat Kay Khezaan Lamhoon Main
Tu Kese Soch Main Doobi Jo Ghumate Mujh Ko
Teray Hath Ke Khushboo Say Mahak Sa Jata
Jab Kabhi Mood Main Aakar Mujhay Choma Karte
Teray Hontoon Ke Main Hiddat Say Dehak Sa Jata
Raat Ko Jab Bhi Tu Nindoon Kay Safer Per Jate
Marmareen Hath Ka Ak Takya Banaya Karte
Main Teray Kaan Say Lag Kar Kaee Bateen Karta
Teri Zulfoon Ko Teray Galoon Ko Choma Karta
Jab Bhi Tu Band Quba Kholnay Lagte Jana
Apni Aankhoon Ko Teray Husan Say Khaira Karta
Mujh Ko Bay Taab Sa Rakhta Teri Chahat Ka Nasha
Main Tere Rooh Kay Gulshan Main Mhakta Rahta
Main Teray Jsam Kay Aangan Main Khanakta Rahta
Kuch Nahi Tu Yahi Bay Naam Sa Bandhan Hota
Kash Main Teray Haseen Hath Ka Kangan Hota
No comments:
Post a Comment