Monday 22 April 2013

Main ne jab likhna seekha tha

Pehle tera naam likha tha

Main wo ism-e-azeem hoon jis ko

Jin-o-malik ne sajda kya tha

Main wo sabr-e-sameem hoon jis ne

Baar-e-amaanat sar pe lya tha

Jo paaya hai wo tera hai

Jo khoya wo bhi tera tha

Tujh bin saari umar guzaari

Log kahain gay tu mera tha

Tu ne kyun mera haath na pakra

Main jab rastay se bhatka tha

Pehli baarish bhejnay waalay..!

Main teray darshan ka pyaasa tha

No comments:

Post a Comment